Rejection of Usuli Sect Akhbari and Usulis Fatwas against Hadiths Fatwas against Matam Answer these Questions
Go to Urdu Version
Home
Tehreef Quran
Azadari
Predictions of
Reoccurence
Download Videos
Lifestyle Disciplines
Suplications
Anjumane Alavi
Letters & Replies
E BOOKS
Contact us







         :--A new way of misleading innocent Momeneen wa momenaat:--

Imam e Hassan e Askari (a.s) ne farmaya --

Oloma mein ek aisa tola bhi hai jo hamare doston aur mawaliyon se bughz o inaad rakhta hai aur yeh tola isper to qader nahi ke khullam khulla hamara naam lekar hamari qadah kare aur hamari buraee bayan kar sake (kyunke yeh tola darta hai ke kahin maulaee wasile jahannum na kar dein) yeh tola hamare kuch uloom padh leta aur unhi uloom ki wajeh se hamare shiyyon aur mawaliyon ke nazdeek qabile tawajjoh ban jaata hai aur jab yeh dekhta hai ke hamare kam ilm sadaah loh shiyya is toley ki izzat karne lage hai to phir yeh tola hamari zaat e muqaddasa mein aib o nuqs dikhata hai aur hamare doston ke, dushmanon ke saamne hamare aib bayan karta hai aur phir apne qayas o ijtehad se un jhootey naqaes wa aib ko badha kar bayan karta hai halanke hum un naqayas wa uyoob se pak hain hamare saadah loh kam ilm shiyyon ke liye yeh lashkare yazeed(l.a) se bhi badhkar zarar rasan hain jisne Imam Hussain a.s aur unke ashaab par zulm kiya tha kyunke yeh tola sadaah loh kam ilm shiyyon ki roohe iman bhi salb kar leta hai aur inka maal bhi loot khasot leta hai yahi tola oloma e soo hai yahi tola hamare mawaliyon se bughz o inad rakhta hai aur inhe apne daam mein phansane ke liye yeh kehta hai hum to Ahlebait a.s se mohabbat rakhtey hain aur unke dushmanon se adawat. yahi tola bhais badal kar (yani hamare dost bankar) kam ilm shiyyon ke dilon mein shukook wa shubhaat daqil kar deta hai jiske baad woh becharey paich o taab mein phans kar hamari azmat e shaan par iman wa yaqeen se mehroom ho jatey hain aur yahi tola inhe gumrah karleta hai aur haqq e sareeh wa qalis se in becharon ko rok leta hai.

(ref: Haqaeq ul wasa'et)

:--Momeneen beware of hubeali.com. Do not go on the name as the name hubeali.com is too far from the real meaning of hubeali:--

We may bring to the notice of momeneen and momenaat that the hube ali.com(admins) are deceiving people in a new style, by deletintg the messages sent by various akhbari momeneen for the references of hadees La tafakkaru fee zatillah(zaate quda par tafakkur mut karo).

If these people were true followers of Hazarate Ameeral Momeneen Ali Ibne Abi Talib (a.s) they would not have deleted the messages. The deletion of messages shows their fraudulence,the worship of their own aql (intellect).In fact they are the agents of Mujtahedeen doing ijtehad,also making the innocent momeneen(unknowingly) do ijtehad.

Momeneen,should think for a while why these guys are deleting the messages which contain Ahadiths e Masomeen (a.s),infact they are challenging the biggest authority in the whole universe i.e Aimma e Masomeen (a.s). The deletion of ahadiths shows their faith in Allah,Rasool and Aimma. The name of their website should be suggested to bugzeali.com by each and every true momin because hubeali tends to accept ahadiths of Masomeen (a.s) rather than rejection and refusal of Ahadiths e Aimma (a.s).

We are uploading the conversation between various momeneen & momenaat and hubeali.com(admins){which they are purposely concealing} via email,facebook wall sharing ect.

We request the innocent momeneen and momenaat to have a look on the ahadith's references inorder to not to be trapped in the deliberate deception of so claimed hubeali.com which desereves the name BUGZEALI.com.

The following ahadiths are being uploaded only for momeneen and momenaat not for hubeali.com as they are rejecting the ahadiths e masomeen (a.s).

.....Shaadi ke liye kafo aur humsar hona......

1) Mohammed bin waleed ne hussain bin bashshar se riwayat ki hai inka bayan hai ke mein ne hazarate imam e mohammed e baquer a.s ki qidmat mein areeza tahreer kiya ke mere ayhan (ladki ka ) paigham diya gaya hai to Imam a.s ne jawab mein tahreer kiya ke jisne tumhare yahan shadi ka paigham diya ahi ager tum uske deen uski amanat se mutma'in wa raazi ho to qaah woh koi bhi ussey tum nikah karlo aur ager tum aisa na karogey to zameen par bada fitna wa fasaad barpa hoga.

2) Rasool allah (s.w.s)ne irshaad farmaya mein bhi tum logon jaisa ek bashar hoon tum logon ki betiyan loogan aur tum logon ko betiyan doonga siwae Fatima (a.s) ke, isliye ke iski shadi ka hukm asmaan se nazil huwa hai.

3) Rasool allah (s.w.s) ne farmaya ager allah taala Fatima (a.s) ko Ali (a.s) ke liye na paida karta to roo e zameen par Fatima(a.s) ka koi kafo aur humsar na hota qah adam ho ya unke alawa.

4) Rasool allah ne aulade Ali (a.s) wa Jaffer par nazar daali aur farmaya hamari betiyan hamare beton ke liye hai hamare bete hamari betiyon ke liye hai .

5) 6th Imam ne irsahd farmaya tamam momeneen ek doosre ke kafo aur hamsar hain.

6) 6th Imam ne farmaya ke (shadi mein) kafo aur hamsar hona yeh hai ke woh pak daman ho aur uske paas asoodah haali ho.

ref: Man la yah zarahul faqih

.......HARAAM AOURTEIN.....

Kitaab alqisaal mein imame jafare sadiq a.s se manqool hai ke mere walid se poocha gaya ki kitaab wa sunnat ki rau se kitni sharamgaahein mard ke liye haraam hai?? Iske jawaab mein mere walid ne kaha ke chauntees (34) qisam ki sharamgaahein haraam hai (inmein se kuch to humeshan ke liye haraam hain aur kuch waqti haraam hain) Athaara (18) sharamgaahein quraan ne haraam ki hain aur solah (16) sharamgaahein sunnat ne haraam ki hain jinhe quraan ne haraam kiya hai wo ye hai…

1) zina - allah ne farmaya wala taqrabuz zinah "aur zinah ke qareeb mat jaana"

2) baap ki mankuha se bete ka nikah. irshaade quda wandi hai wala tankehu ma nakaha abaaokum " jin aurtoun se tumhaare abaa ne nikah kiya tha unse nikah na karo"

3) maaein.

4) betiyaan.

5) behnein.

6) phupiyaan.

7)qaalaein.

8)bhateejiyaan.

9) bhaanjiyaan.

10) rezaai maaein.

11)rezai behnein.

12) saas.

13)jin biwiyoun se jinsi talluq qayam huwa ho uski rabeeba betiyan.

14)salbi beton ki biwiyaan.

15)ba ek waqt dono(2) behnon ka jama karna.

16) pehle se shadi shudah aurat jo kisi ke aqde nikah mein ho.

17) haez se jama haraam hai jabtak ke paak na hojae.jaisa ke farmaane quda wandi hai " wala taqrabu hunna hatta yathurna "jabtak wo haiz se paak na hojae inse jama na karo"

18) etekaaf mein mubasherat haraam hai jaisa ke farmaane qudrat hai " wala tubasheru hunna wa antum akefoona fil masaajide " aourtoun se us waqt mubasherat na karo jab tum masjid mein etekaaf mein baithe huwe ho.

.......SUNNAT MEIN YE SHARAMGAAHEIN HARAAM HAI.....

1)maahe ramzaan ul mubarek mein din ke waqt mujameat karna.

2) la' aan ke baad la' aan waali aurat se nikah karna

3)iddat mein nikah karna.

4)ehraam mein nikah karna aur nikah karana.

5) zehar ke kaffare se qabl majame'at karna.

6) mushrika se nikah karna

7) jis aurat ko noun (9) talaqein karchuka ho usse phir nikah karna.

8) azaad aurat ki moujoodgi mein kaneez se nikah karna

9) muslim aurat ki maujoodgi mein zimmi aurat se nikah karna.

10)phupi ki maujoodgi mein bhateeji aur qaala ki moujoodgi mein uski bhanji se nikah karna.

11) kaneez ke sarparast ki ijaazat ke bagair usse nikah karna.

12) jo azaad aurat se shaadi karne ki qudrat rakhta ho iska kaneez se nikah karna.

13) maale ganeemat ki taqseem se qabl ghaneemat mein aane wali aurat se nikah karna.

14) mushrik kaneez se nikah karna.

15) zar qareed kaneez se istebraa e rehem se qabl nikah karna.

16) jis aurat ne makatibat ka maaheda kiya ho aur kuch hissa ada bhi kar chuki ho to isse bhi jinsi talluq qayam nahi rakha ja sakta.

(ba hawala e nurus saqalain)

Hazarat e Rasoole akram aur Aimma se yeh baat saabit hai ke unhone farmaya ke jab tumhare samne hamari koi hadees pesh ki jaye to ise kitaballah ke samne pesh karo aur ager woh kitaballah ke muafiq ho to usey qubool karo aur jo riwayat kitaballah ke qilaf ho to usey chod do ya uska ilm hamari taraf lauta do.

(Tafseer e nurus Saqlain)

TAREEF-E-MUQASSEREEN MEIN IMAM a.s FARMATEY HAIN

Yataallamoona baaza ahadeesena wa yata'allamoona inda shiyyatena summa yatanaa qesoona bena.

Woh hamare baaz ahaadees to haasil kar lete hain humare shiyyon ko bataure waaz wa pand wa naseehat usey sunatey hain aur hamare nuqs ko sabit karne ki koshish karte hain.

(ba hawala e Ehtejaaj)



:--FITNA-E-SHIYYAT BANAME HUBEALI:--

CLICK THIS LINK TO READ MORE  


BAZIMNE NAMAZ-E-EIDAYN

Hadees On hubeali.com “Imam Abu Jaafar asws said: Eid ul Fitar and the Eid ul Zaha Salat are not valid except in the presence of a Just Imam asws.6”

OUR REPLY TO hubeali.com:-

MAN LA YAHZARAHUL FAQIH ki jo hadees safa 506 se naql farmaye hai nazare saani keejeye kyun ki us Hadees mai Lafze ADIL Brackets main hai jise apne misinterpret kiya jiska ilzaam mujhper laga rahe hain lafze adil ko BRACKET main kyun nahi Likha jub ke kitab MAN LA YAHZARAHUL FAQIH (Vol 1 Pg 506) main Lafze ADIL "BRACKET" main hai??Humari kitab Wulayatul Moomeneen main Eidain ke Chapter main MAN LA YAHZARAHUL FAQIH (Vol 1 Pg 506 Hadees No: 1454) hi se ek hadees 5th Imam(as) se Naql ki gaye hai "IMAM FARMATE HAI IMAM KE SAATH SUNNAT HAI AUR IMAM-E-ADIL KE SAATH WAJIB" yeh dono batoun ko samjhaiye yeh bhi 5th imam(as) hi ki hadees hai kya aap iska inkar karte hai??

BAAT KARNI HO ALI KI JO KISI SE AIY TAQI
PEHLE US SHAQS KI TUM NASLI SHARAFT DEKHO
(Shaheed e Rahe Haq )

SHARM BAQI HAI NA DUNYA MAI HAYA BAQI HAI
ILM MASNOWI HAI AUR USPE ANA BAQI HAI

AALA ZARFI KI NASIHAT WAHI KARTE HAI HUME
JINME KAM ZARFI KI EK EK ADA BAQI HAI


ILM KI TALWAR LEKAR AIYE BEHRUL ULOOM
JEHAL KE HATON MEIN DEEN E HAQ TAMASHA HOGAYA
(Salman)


 


Copyright©2003 www.akhbari.com. All rights reserved